chalo yun hi sahi ab tum na aana is taraf samjhe kahin aisa na ho tum ko zamana is taraf samjhe mujhe malum hai tum khud ko bhi dhoke mein rakkhoge tumhein le aaega koi bahana is taraf samjhe mukarrar is liye aata raha hun samne us ke wo pagal hai kabhi apna nishana is taraf samjhe mujhe dukh bhi hua lekin unhen samjhana lazim tha jidhar main tha parinde aab-o-dana is taraf samjhe mohabbat ya zarurat nam den 'bedar' ji koi rahega aap ka ab aana jaana is taraf samjhe