dekho to zara ghazab khuda ka zalim ne mujhi ko pahle taka allah ata kare qanaat nuskha wajib-ul-ada ka dil deta hun muft aur koi pursan nahin naqd-e-narawa ka wan mujh pe jafaen ho rahi hain yan wird hai lafz-e-marhaba ka aana ho to naza mein hun aao ye waqt nahin hai iltawa ka ab aae ho ban ke tum masiha jab waqt guzar chuka dawa ka daman mein rawan hain ashk-e-gulgun mahzar hai ye khun-e-muddaa ka laya to hai un ko jazb-e-ulfat aaya to hai dhyan be-nawa ka main ho hi chuka tha zinda dargor tum aa gae shukr hai khuda ka duniya se guzar chuke to 'parwin' jhagda na raha fana baqa ka