dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada shoala ki tah-e-ab nikharta hai ziyaada kya jaaniye kya baat hai ab dasht ki nisbat dil khamushi-e-shahr se darta hai ziyaada andar ka wahi rog use bhi hai mujhe bhi banta hai ziyaada wo sanwarta hai ziyaada jo aankh ke jalte hue sahra se pare hai baadal usi raste se guzarta hai ziyaada rukh shahr ki jaanib hua jangal ki hawa ka aur shor mere dil mein ubharta hai ziyaada 'jafar' ye laga zakhm-e-mohabbat bhi ajab hai badhta hai ziyaada jo na bharta hai ziyaada