dil-e-nadan koi mahshar na uthana is waqt aa raha hai meri baaton mein zamana is waqt karb-e-tanhai ki tawil to mushkil hai bahut kaise chup-chap hua aap ka aana is waqt rasm-e-tajdid-e-marasim bhi zaruri hai magar yaad aaya hai mujhe waqt purana is waqt ye ghadi koi faramosh nahin kar sakta meri aankhon mein hai ek khwab suhana is waqt aa raha hai koi phir dam-e-nazar mein 'jafar' aise manzar se nigahen na hatana is waqt