der se apni aag mein khud hi jalta hun hun to bhari duniya mein lekin tanha hun gham ki aag mein tap kar kitna nikhra hun ab mahsus hua hai main bhi sona hun baad-e-hawadis aisa udae phirti hai jaise main ek ped ka tuta patta hun muddat se jis par koi dastak na hui yaro main ghar ka aisa darwaza hun apni barbaadi ka qissa kaise kahun honton par jo aa na saka wo naghma hun main auron ke gham ka mudawa kya sochun main to khud apne hi gham mein uljha hun yaro jao aur koi dhanda socho meri wusat mat napo main sahra hun ab to 'mehdi' mujh ko chain se sone do socho main kitni raaton ka jaga hun