dil ke aaine mein kuchh chehre jo gauhar Thahre

dil ke aaine mein kuchh chehre jo gauhar thahre
un ko nazdik se dekha to wo patthar thahre

aaj kazib bhi ye chahe hai ki farman us ka
sari duniya pe chale qaul-e-payambar thahre

dil ka virana bhi mumkin hai moattar ho jae
kaun jaane ki ik-ik zakhm gul-e-tar thahre

zulm sahna bhi to zalim ki taraf-dari hai
tum bhi musa bano gar waqt sitamgar thahre

un ke daman pe nazar aae lahu ke chhinte
amn-o-insaf ke jo log payambar thahre

zist ka raaz khula hai usi diwane par
raqs-e-khanjar jise mahbub ka paikar thahre

apni bhi zat ka irfan nahin hai jin ko
ahd-e-hazir mein bashar ke wahi rahbar thahre

ki thi hamwar kabhi jin ke liye rah-e-hayat
ab wahi log meri rah ka patthar thahre

kaise aaram ka aa jae khayal ai 'mehdi'
zindagi jab kisi bimar ka bistar thahre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close