der se so kar uthne walo tadpo lekin shor na ho tum ko haq hai aainon ko todo lekin shor na ho ham-sae ka sukh to us ke khwab ka pura hona hai tum par riqqat tari ho to ro lo lekin shor na ho sham dhale parwaz simat kar shakhon par aa jati hai apni aankhen rahguzar mein rakkho lekin shor na ho diwane bhi ahl-e-samaat ki khidmat kar sakte hain dil honton par aa jae to bolo lekin shor na ho 'mohsin' kis ko fursat hai jo tesha le kar aae yahan apne but ko apne hath se todo lekin shor na ho