zehn-o-dil par sawar rahti hai shairi bhi usi ke jaisi hai mat kaise ana ko deni hai main ne tarkib soch rakkhi hai azm jata hai le ke manzil tak rah to sath sath chalti hai main ne dekha hai waqt badle to rang taswir bhi badalti hai main ne mana ki der se hi sahi khamushi apna kaam karti hai mera taid karna lazim hai baat un ki zaban se nikli hai hum ko to sarhadon ne bant diya us ka lahore meri dilli hai be-khudi hai ajib shai 'adil' ret mein machhliyan pakadti hai