der tak raat andhere mein jo main ne dekha mujh se bichhde hue ek shakhs ka chehra ubhra qasmen de de ke mere hathon ne mujh ko roka main ne diwar se kal nam jab us ka khurcha dekh kar us ko laga jaise kahin ho dekha yaad bilkul nahin aaya mujhe ghanton socha mom-batti ko galata raha dhire dhire raat andhere ka mere kamre mein bahta lawa kitne maghmum ghazalon ka bharam rakhta hai narm kapde se tarasha hua kala burqa qadr ab ho ki na ho zehn-e-rasa ki lekin aa hi jata hai kabhi kaam ye khota sikka sare din meri tarah jalta hai aur sham dhale har-bun-e-mu se lipat jata hai mera saya apne honton pe saja leta hun main jhuti hansi apni palkon mein chhupa leta hun jalta dariya man lo meri jo hai us pe qanaat kar lo ab nahin utrega is duniya mein mann-o-salwa