kya sunaen tumhein koi taza ghazal sher hairat-zada aabdida ghazal tum ko logo abhi bhangda chahiye dard ki zindagi ka tarana ghazal waqt barbaad karte rahe is tarah hum sunate rahe sab ko taza ghazal tarjuman-e-shikasta-dili thi magar mahfilon mein chali wo shikasta ghazal aadmi ko kabhi bhul sakti nahin zindagi se nibhati hai rishta ghazal har ghadi chhedna bhi munasib nahin ban gai zindagi mein tarasha ghazal anwar-e-be-zaban aaj iqrar kar raat phir ho gai be-irada ghazal