der tak uTh na saka wan se wo diwana-e-dost

der tak uth na saka wan se wo diwana-e-dost
chhid gaya jab ki kahin baith ke afsana-e-dost

aaj uthe jate hain darban ki jafa se lekin
zindagi bhar kahin chhutta hai dar-e-khana-e-dost

hijr mein haalat-e-dil ki hain wo aankhen nigaran
dekhi thi jin se kabhi raunaq-e-kashana-e-dost

rahbar shauq-e-dili sar pe ajal dil betab
be-khabar yun main chala hun taraf-e-khana-e-dost

aaj kyun had se siwa dil ko khushi hai 'mahshar'
kya bulae hue jate ho su-e-khana-e-dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close