hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya diya apne muqaddar ka nazar ab tak nahin aaya thin jis baadal ke raste par hawa ki muntazir aankhen wo shahron tak to aaya tha idhar ab tak nahin aaya na jaane jangalon mein hum mile kitne darakhton se ghana jis ka lage saya shajar ab tak nahin aaya tazabzub ke andheron mein bhatakta hai wo ek wada palat kar jis ko aana tha wo ghar ab tak nahin aaya sajaana chhod de phulon ko in chandi se baalon mein falak par wo sitara ek agar ab tak nahin aaya bhula kar bas zara si der sajdon ki ibaadat ko ye socho kyun duaon mein asar ab tak nahin aaya jahan lakhon mohabbat ke charaghon se ujala ho 'farah' raushan kisi dil ka wo dar ab tak nahin aaya