deta hun dil jise wo kahin bewafa na ho ye ishq mere waste shayad qaza na ho dur apne dar se tum na karo ai sanam use jis ko zara jahan mein kahin aasra na ho rahat se mujh ko nind to aai mazar mein pahlu ko mere chir ke dil chal basa na ho marne ke baad bhi yahi dhadka raha kya mil kar saba se khak hamari hawa na ho shikwa karun to yar ka pur-khauf hai yahi nazuk mizaj hai wo ye sun kar khafa na ho parde se dil ke baat jo karta hai mujhe se ab aata hai ye khayal kahin khud khuda na ho rangat hai zard rukh ki to khushki labon par hai aasar ishq ke hain kahin dil laga na ho mar jaun ai 'jamila' agar ishq-e-ghaus mein mumkin nahin ki khak-e-lahad kimiya na ho