koi nazar na pad sake mujh haal-mast par baitha hua hun is liye pichhli nishast par ek mauj-e-atishin rag-o-pai mein utar gai rakha hai us ne jun hi kaf-e-dast, dast par kab ras aai mujh ko meri fath ki khushi main dil-shikasta ho gaya us ki shikast par hai yaad mujh ko aaj bhi pahla mukalima qaim hun main to aaj bhi ahd-e-alast par kaise sambhaal rakkha hai ek zat ne use shashdar hun kaenat ke kul band-o-bast par tai marhala kiya hai adam se wajud ka pahuncha hun tab main manzil-e-na-hast-o-hast par 'sahir'! main apne-ap se aage nikal gaya hairat-zada hain sab meri ruhani jast par