dete hain jam-e-shahadat mujhe malum na tha hai ye aain-e-mohabbat mujhe malum na tha matlab-e-chashm-e-murawwat mujhe malum na tha tujh ko mujh se thi shikayat mujhe malum na tha chashm-e-khamosh ki babat mujhe malum na tha ye bhi hai harf-o-hikayat mujhe malum na tha ishq bas mein hai mashiyyat ke aqida tha mera us ke bas mein hai mashiyyat mujhe malum na tha haft-khwan jis ne kiye tai sar-e-rah-e-taslim tut jati hai wo himmat mujhe malum na tha aaj har qatra-e-mai ban gaya ek chingari thi ye saqi ki shararat mujhe malum na tha nigah-e-mast ne talwar utha li sar-e-bazm yun badal jati hai niyyat mujhe malum na tha gham-e-hasti se jo bezar raha main ek umr tujh se bhi thi use nisbat mujhe malum na tha ishq bhi ahl-e-tariqat mein hai aisa tha khayal ishq hai pir-e-tariqat mujhe malum na tha puchh mat sharh-e-karam-ha-e-azizan hamdam un mein itni thi sharafat mujhe malum na tha jab se dekha hai tujhe mujh se hai meri an-ban husn ka rang-e-siyasat mujhe malum na tha shakl insan ki ho chaal bhi insan ki ho yun bhi aati hai qayamat mujhe malum na tha sar-e-mamura-e-alam ye dil-e-khana-kharab mit gaya teri badaulat mujhe malum na tha parda-e-arz-e-wafa mein bhi raha hun karta tujh se main apni hi ghibat mujhe malum na tha naqd-e-jaan kya hai zamane mein mohabbat hamdam nahin milti kisi qimat mujhe malum na tha ho gaya aaj rafiqon se gale mil ke juda apna khud ishq-e-sadaqat mujhe malum na tha dard dil kya hai khula aaj tere ladne par tujh se itni thi mohabbat mujhe malum na tha dam nikal jae magar dil na lagae koi ishq ki ye thi wasiyyat mujhe malum na tha husn walon ko bahut sahal samajh rakkha tha tujh pe aaegi tabiat mujhe malum na tha kitni khallaq hai ye nisti-e-ishq 'firaq' us se hasti hai ibarat mujhe malum na tha