khwahishon ki aad mein rutba jawani le gai pattharon ke dher se mazdur rani le gai khwab qissa chahaten duniya siyani le gai aur jo baqi tha teri lan-tarani le gai chaplusi se mujhe bhi dushmani mahngi padi kaamyabi ko uda kar haq-bayani le gai kaun se farman ka qissa sunate ho huzur baadshah se aankh meri hukmarani le gai aap wapas aa gae hain aap ka phir kya gaya meri khuddari ko lekin mehrbani le gai chhoti moti hasraton ko waqt le kar ud gaya chain se marne ki khwahish zindagani le gai