dete hain mere jam mein dekhen sharab kab aata hai mahtab ke ghar aaftab kab thahra hai ek jagah dil-e-khana-kharab kab dariya mein ghar bana ke raha hai habab kab jab chhod di umid to wo mehrban hue nakaamiyon mein bakht hua kaamyab kab dekha hai wasl-e-ghair mein shab un ko dekhiye ulta asar dikhati hai tabir-e-khwab kab 'kaifi' ko rind jaan ke jaane nahin diya hai bargah-e-khas mein wo baryab kab