daur-e-nigah-e-saqi-e-mastana ek hai paimane do hain gardish-e-paimana ek hai pita hun ghunt ghunt mein sanson ke sath sath saqi ka aur umr ka paimana ek hai jis ashk mein ho ashk-e-nadamat wahi hai ashk moti bahut hain gauhar-e-yak-dana ek hai kasrat ki shan aur hai wahdat ka rang aur aabaad hai jo ek to virana ek hai tafriq husn-e-sham-o-gul mein zara nahin soz-o-gudaz-e-bulbul-o-parwana ek hai jab sun liya firaq ka qissa to kah diya majnun ka aur aap ka afsana ek hai tum ko agar hai apni dil-araiyon pe naz 'kaifi' bhi apne nam ka mastana ek hai