dew-qamat bana hua ghumun apne qad ko magar chhupa na sakun wo bhi pahchanta nahin hai mujhe main bhi apni nazar ko jhutla dun hat gaya hun madar se apne ab main yun hi khala mein phirta hun telewision pe ek chehra hai kam se kam us ko dekh sakta hun kab se sukhi padi hai ye dharti main kisi ke lahu ka pyasa hun udte phirte hain har jagah hatiyal koi farhad hai na ab majnun puchhti hain bhari-puri sadken kaun hai jis ke sath main ghumun