khuda use bhi kisi din zawal deta hai zamana jis ke hunar ki misal deta hai wo jab shuur ko lafzon mein dhaal deta hai ajib soch nirale khayal deta hai koi samajh na saka us ki den ka andaza kabhi khushi kabhi ranj-o-malal deta hai kabhi wo zakhm lagata hai mere sine par kabhi wo panw se kanta nikal deta hai usi ne di hai gunah-o-sawab ki tafriq wahi shuur-e-haram-o-halal deta hai mere khuda use sanjidgi ata kar de wo meri baat ko hans hans ke tal deta hai kabhi kinare bhi kashti bacha nahin sakte kabhi bhanwar bhi safine uchhaal deta hai wo kar guzarta hai aksar mera junun 'ejaz' ki jo khirad ko bhi hairat mein dal deta hai