dhaDakte dil ko pattharon mein DhunDhna to chahiye

dhadakte dil ko pattharon mein dhundhna to chahiye
kahin khuda mile hamein koi khuda to chahiye

nahin ki apne doston se kuchh umid ho mujhe
magar kisi ko mera haal puchhna to chahiye

kisi se rasm-e-nama-o-payam band hi sahi
magar kabhi kabhi saba ko tokna to chahiye

kisi ko jaise ab kisi ka intizar hi nahin
kanar-e-rahguzar kahin koi diya to chahiye

kabhi to main bhi lutf-o-kaif-e-guftagu utha sakun
kabhi khamosh baam-o-dar ko bolna to chahiye

kaho to uth ke khidkiyon ke ude parde khol dun
is aasman par kahin koi ghata to chahiye

zara ruko koi bagula uth ke raqs to kare
hum ahl-e-dasht ke liye bhi rahnuma to chahiye

na jaane 'zeb' mai-kade se jald kyon chala gaya
kategi kaise raat koi aashna to chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close