manzil ki justuju mein bikharna paDa mujhe

manzil ki justuju mein bikharna pada mujhe
dushwar raston se guzarna pada mujhe

marne ke waste mujhe bheja gaya yahan
jine ke waste yahan marna pada mujhe

ye soch kar ki tujh se na parwaz unchi ho
apne paron ko khud hi katarna pada mujhe

jab chand ko main dost banane laga to phir
suraj ki barhami se bhi darna pada mujhe

'zaryab' sahl kab hain mazamin bandhna
alfaz ki tahon mein utarna pada mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close