dhaDakte dil ko yun dhaDkan sunaya karte hain

dhadakte dil ko yun dhadkan sunaya karte hain
khuli hon banhen to un mein samaya karte hain

ye chahaton ka chalan sikh lo to achchha hai
koi manae to bas man jaya karte hain

bahut si baaten nahin hoti hain batane ki
ba-taur-e-khas mohabbat chhupaya karte hain

khuda ke waste tafsil mein na jaya karo
ki jitna puchha ho utna bataya karte hain

jinhen ho kahna ki ruk jaen sab ko jaane den
mila ke hath zara sa dabaya karte hain

nahif dil ko sanbhalne ka dijiye mauqa
thahar thahar ke ye jalwe dikhaya karte hain

agar ye dil ho ki suraj ki dhup saya bane
to apne nam ke paude lagaya karte hain

jinhen likha ho kisi ne badi mohabbat se
bade adab se wo name jalaya karte hain

wo jin ke dam se gulon par nikhaar aata ho
bahaar aae to un ko bulaya karte hain

samajh lo baat chhupaenge jhut bolenge
jo baat karte hue sar khujaya karte hain

na dekh pana alag sa badhawa deta hai
charagh wasl se pahle bujhaya karte hain

mere aziz ai 'danish-aziz’ baat samajh
jinhen ho zoam unhen aazmaya karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close