dhadkan mein dil ki khud ko jo tashkil kar gaya har zawiya nigah ka tabdil kar gaya mere baghair jis ko tha jina muhaal kyon tanha masafaton ki wo takmil kar gaya jis ko masarraton ki duaen din umr bhar dukh ki kitab wo mujhe tarsil kar gaya dasht-e-wafa mein panw ke chhaalon ka kya shumar tha azm sanglakh ko tahlil kar gaya socha tha apne dil ka bhi ahwal kuchh kahen chehra bayan dard ki tafsil kar gaya guzra hai haq ke waste dar-o-rasan se jo jhute khudaon ki wahi tazlil kar gaya manzar kuchh aise khun-chakan aae nigah mein jaise ki dard ko koi tamsil kar gaya