tarab se ho aaya hun aur yas ki tah tak dub chuka hun dur hun apni khoj se ab tak kab se khud ko dhund raha hun main hun ye ghatta phailta saya main ye kaise ho sakta hun waqt ke sayyal aaine mein kaun hai kis ko dekh raha hun dil ke kisi pinhan goshe mein an-jaani koi haar chhipi hai jaan tapak hain teri baaten main be-baat bhatak jata hun dekhte dekhte tera chehra aur ek chehra ban jata hai ek manus malul sa chehra kab dekha tha bhul gaya hun ek lamhe ne mujh se kaha tha tu hi azal hai tu hi abad hai lamha bita baat gai is khwab se kab ka chaunk utha hun dida-e-wa ke damakte khwabo mere sath chaloge kab tak tum ki wafur-e-rang-o-nawa ho main ki shikast-e-dil ki sada hun khak udti hai lab-bosi ko tare aankh ko chhu lete hain qurb ka khwahan mujh se zamana main tanha hun main tanha hun