dhadkanen ban ke jo sine mein raha karta tha kya ajab shakhs tha jo mujh mein jiya karta tha nakhun-e-waqt ne har naqsh khurach dala hai mera chehra meri pahchan hua karta tha kai honton pe hama-waqt jami rahti thi ek dariya meri aankhon mein thama karta tha ek talatum tha tah-e-ab sukut-e-dariya dil-e-khamosh mein ek shor raha karta tha murtaish hota tha jab khama-e-angusht kabhi kya kya qirtas-e-khala par main likha karta tha zehn-o-dil is liye sargarm-e-amal rahte the rahnumai meri har waqt khuda karta tha aabla-paiyan karti thin agar dil-shikani hausla phir rah-e-ummid ko wa karta tha ho gaya nazr bil-akhir meri haq-goi ki ek sar jo kabhi shanon pe saja karta tha kya hua aaj ai 'salim' wo shuur-e-baaligh jo qalam-zad teri tahrir kiya karta tha