aaj shayad zindagi ka falsafa samjha hun main hun zarurat zindagi ki is liye zinda hun main hai meri takhliq mein unsur baghawat ka koi jis jagah pabandiyan thin us jagah pahuncha hun main ek ajab sa hai talluq us ke mere darmiyan aisa lagta hai ki us ki zat ka hissa hun main hain numayan jis ke chehre par haqiqat ke nuqush tere shahr-e-khwab mein wo aadmi tanha hun main chha gaya hun khauf ban kar apne hi aasab par aur kabhi be-khauf ho kar khauf se nikla hun main hain zamin par har taraf mere hi qadmon ke nishan roz-e-awwal se hi 'salim' koi aawara hun main