dhala jo din to gaya nur-e-aftab bhi sath shabab le gaya ranai-e-shabab bhi sath wo sath tha to shab-e-zindagi charaghan thi jilau mein rahte the anjum bhi mahtab bhi sath hayat kya hai faqat mustaar-e-lamha-e-shauq ye kah ke le gai mauj-e-hawa habab bhi sath isi mein khair hai nazren jhuki rahen warna nazar uthegi to jal jaega naqab bhi sath hamin se raunaq-e-hasti hai is kharabe mein jo hum mite to mitegi ye aab-o-tab bhi sath hayat dard ki tughyaniyon mein dubi hai gham-e-habib bhi hai zist ke azab bhi sath khuda-e-arsh-e-sukhan se hun faizyab 'kalim' ki tur-e-sher se laya hun main kitab bhi sath