jagte hi nazar akhbar mein kho jati hai zindagi dard ke ambar mein kho jati hai na-khuda aql ke patwar uthata hai ki jab kashti-e-dil meri manjdhaar mein kho jati hai be-sabab sochne wale kabhi socha tu ne aagahi kasrat-e-afkar mein kho jati hai udte rahte hain khayalat ke jugnu phir bhi baat kyun parda-e-izhaar mein kho jati hai us ke kaamon ka hai rangin khushamad pe madar aur mehnat meri isar mein kho jati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ata-ji' warna chiz jaisi bhi ho bazar mein kho jati hai