dhali jo sham nazar se utar gaya suraj hawa kisi ne uda di ki mar gaya suraj sahar hui nahin kab se guzishta sham ke baad ghurub ho ki na jaane kidhar gaya suraj saji hui hai sitaron ki anjuman ai dil ki para para falak par bikhar gaya suraj laga ki khinch li us ne zamin pairon se laga ki talwon ko chhu kar guzar gaya suraj ye kaisa jalwa ke binai lut gai meri ki meri aankh ke andar utar gaya suraj chhupa tha maslahatan sham se samet ke nur muhib raat ye samjhi ki dar gaya suraj shafaq tamam lahu-rang ho gaya lekin hujum-e-gham se bahut pur-jigar gaya suraj hamesha taj ka iqbaal yun buland raha jidhar jidhar nazar aaya udhar gaya suraj