itni si is jahan ki haqiqat hai aur bas guftar zer-e-lab hai samaat hai aur bas kyun aashna-e-chashm ho didar-e-husn ka ye girya-azmai to aadat hai aur bas itne se jurm par to na mujh ko tabah rakh thodi si mujh mein teri shabahat hai aur bas us ko jaza saza ke marahil mein de diya jis pas ek umr ki mohlat hai aur bas aaya jo daur-e-dasht achanak hi samne aisa laga ki teri ijazat hai aur bas hum ne kaha ki khatm hue sab muamalat dil ne kaha ki kya hai? qayamat hai! aur bas aaina-dar hon ki tera parda-dar hon pesh-e-nigah teri mohabbat hai aur bas