dhanak mein sar the teri shaal ke churae hue main surmai tha sar-e-sham gungunae hue samay ki lahar tere bazuon mein le aai hawa mein bahr teri sans mein samae hue tamaniyat se uthana muhaal tha mashal main dekhne laga tha us ko sar jhukae hue sahar ki gunj se aawaza-e-jamal hua so jagta raha atraf ko jagae hue tha bagh bagh shua-e-safed se shab bhar gulab-e-abyaz-e-rukh tha jhalak dikhae hue khumar-e-qurmuzi se aatishin tha saghar-e-khwab bhara tha munh tere jamun se baada lae hue anar phutte the nind ke samundar mein wo dekhta tha mujhe phuljhadi lagae hue dikha raha tha mere paniyon se shahr-e-visal koi charagh sa andar tha jhilmilae hue hawa ke jhonkon mein ja kar use main pi aaya raha wo der talak jam-e-mai banae hue ye teri meri judai ka naqsh hai baadal baras raha hai ba-yak-waqt wan bhi chhae hue mutabaqat se raha taba ke alaw ko kahin jalae hue aur kahin bujhae hue hinai hath se lag kar saji kuchh aur 'nawed' meri anguthi tha arse se wo gumae hue