dhani surmai sabz gulabi jaise man ka aanchal sham kaise kaise rang dikhae roz labaalab chhagal sham charwahe ko ghar pahunchae pahre-dar se ghar chhudwae aate jate chhedti jae darwaze ki sankal sham suraj ke papon ki gathri sar par lade thaki thaki si khamoshi se munh latkae chal deti hai paidal sham behis duniya-daron ko ho duniya ki har chiz mubarak gham-zadon ka sarmaya hain aansu aahen botal sham suraj ke jate hi apne rang pe aa jati hai duniya jaane-bujhe chup rahti hai shab ke mod pe komal sham sanson ki pur-shor dagar pe raqs karega sannata chupke se jis roz achanak chhanka degi pael sham 'badr' tumhein kya haal sunain itna hi bas kafi hai tanhai mein kat jati hai jaise-taise makhmal sham