diwar-o-dar ka nam tha koi makan na tha main jis zamin par tha wahan aasman na tha main dushmanon ki tarah raha khud se dur kyun apne siwa to koi mere darmiyan na tha qadmon mein tapti ret thi chaaron taraf thi aag aur zindagi ke sar par koi saeban na tha dhundi thi man ki god mein ja-e-aman magar bechainiyon ko meri wahan bhi aman na tha mere safar mein bhid jo thi ham-qadam meri yaadon ki thi baraat koi karwan na tha apne hisar-e-jism mein kab rah saka 'nazar' dekha gaya tha us ko jahan wo wahan na tha