dharti bhi sina-zan hai ki sachchai chhin li

dharti bhi sina-zan hai ki sachchai chhin li
barish ki jal-tarang ne tanhai chhin li

na-bina bechta hai basarat ko rah mein
gunge ne jab se nutq-e-pazirai chhin li

hum log bhuk pyas ki shiddat na sah sake
faqon ne hum se quwwat-e-goyai chhin li

ye kis ne chandni ko sameta hai aankh mein
ye kis ne sare shahr ki binai chhin li

main gum tha apne aap mein andarun-e-khana qaid
lekin kisi ki yaad ne gahrai chhin chhin li

pani pe tairta raha rangon ka raqs bhi
aab-e-shifa to mil gaya zebai chhin li

ab ke mujhe mila hai mohabbat mein aisa dukh
chehre se jis ne dilkashi ranai chhin li

utra hai aise aankh mein 'tahir' ye ratjaga
daldal ko raund dala gaya kai chhin li


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close