dhimi barish ki lai mein ahwal sunate rahna us ka ek jharoke mein phir shaal sukhate rahna jaane kis ki yaad aati hai sahil sahil ja kar ret pe zakhmi poron se ashkal banate rahna rabt ek shai kaliyon se komal aur hawaen murakh tute us ke tar to kya sur-tal milate rahna kya jaane kab lamhon ki mafrur samaat laute achchhi achchhi aawazon ke jal bichhate rahna apni to miras yahi hai raat gawahi degi din ke aariz sham sawere lal banate rahna us ne to aate rahna hai sehn mein ram karne ko roz ghazal-e-dard ke mathe khal lagate rahna