dhuan sa phail gaya dil mein sham Dhalte hi

dhuan sa phail gaya dil mein sham dhalte hi
badal gae mere mausam tere badalte hi

simatte phailte sae kalam karne lage
lahu mein khauf ka pahla charagh jalte hi

koi malul si khushbu faza mein tair gai
kisi khayal ke harf-o-sada mein dhalte hi

wo dost tha ki adu main ne sirf ye jaana
ki wo zamin pe aaya mere sambhalte hi

badan ki aag ne lafzon ko phir se zinda kiya
huruf sabz hue barf ke pighalte hi

wo habs tha ki tarasti thi sans lene ko
so ruh taza hui jism se nikalte hi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close