har ek rishta bikhra bikhra kyun lagta hai is duniya mein sab kuchh jhuta kyun lagta hai mera dil kyun samajh na paya un baaton ko jo waisa hota hai aisa kyun lagta hai jo yaaden akasr tadpati hai is dil ko un yaadon ka dil mein mela kyun lagta hai us ko fikr wo sab se bada kaise ho jae main sochun wo itna chhota kyun lagta hai duniyawi rishte to sachche kab the lekin ruhon ka milna bhi jhuta kyun lagta hai mere hisse mein aai mai ka har qatra us ki aankhon hi se chhalka kyun lagta hai 'amabar'-ji tum sher to kah lete ho lekin har ek misra tuta-phuta kyun lagta hai