dhuan udate hue din ko raat karte hue malang aag se tathir-e-zat karte hue kaha to tha ye amanat sambhaal kar rakhna hamari nazr wo kul kaenat karte hue main ek jang khud apne khilaf ladta hua tamam azw-e-badan mujh se ghat karte hue ki hum bane hi na the ek dusre ke liye ab is yaqin ko jina hayat karte hue har ek qaid se aazad bandishon se pare hasin log hasin wardat karte hue agarche kaam tha mushkil magar maza aaya kashid zahr se aab-e-hayat karte hue