hawa to hai hi mukhalif mujhe daraata hai kya hawa se puchh ke koi diye jalata hai kya guhar jo hain tah-e-dariya to sang-o-khisht bhi hain ye dekhna hai meri dastaras mein aata hai kya nawah-e-jaan mein jo chalti hai kaisi aandhi hai diye ki lo ki tarah mujh mein thartharaata hai kya gale mein nam ki takhti gulab rakhte hain charag apna taaruf kahin karaata hai kya nishan-e-qabr bhi chhoda nahin raqabat ne kisi ko aise koi khak mein milata hai kya fana ke baad hi milti hai zindagi ko dawa 'talab' ye ramz tumhaari samajh mein aata hai kya