dhul-bhari aandhi mein sab ko chehra raushan rakhna hai basti pichhe rah jaegi aage aage sahra hai ek zara si baat pe us ne dil ka rishta tod diya hum ne jis ka tanhai mein barson rasta dekha hai pyar mohabbat aah-o-zari lafzon ki taswiren hain kis ke pichhe bhag rahe ho dariya bahta rahta hai phul parinde khushbu baadal sab us ka saya thahre us ne jab se aaine mein ghaur se khud ko dekha hai mujh ko khushbu dhundne aae mere pichhe chand phire aaj hawa ne mujh se puchha kya aisa bhi hota hai kal jo main ne jhank ke dekha us ki nili aankhon mein us ke dil ka zakhm to 'majid' sagar se bhi gahra hai