raat ka kya zikr hai sham-o-sahar aaya nahin kaun sa ilzam hai jo mere sar aaya nahin yun to rah-e-be-khatar mein rahnuma milte rahe pur-khatar rahon mein koi rahbar aaya nahin kaun jaane kis ke dar se aaj phir mera rafiq chahta tha mere ghar aana magar aaya nahin is qadar qurbat badhi har naqsh dhundla ho gaya wo tha mere samne lekin nazar aaya nahin dil ko kya kahiye ki wo qatil ke ghar khud hi gaya lakh koshish ki magar wo rah par aaya nahin lakh andeshon ne 'anwar' gher rakkha hai mujhe raat sar par aa gai aur nama-bar aaya nahin