dhum thi apni parsai ki ki bhi aur kis se aashnai ki kyun badhate ho ikhtilat bahut hum ko taqat nahin judai ki munh kahan tak chhupaoge hum se tum ko aadat hai khud-numai ki lag mein hain lagao ki baaten sulh mein chhed hai ladai ki milte ghairon se ho milo lekin hum se baaten karo safai ki dil raha pa-e-band-e-ulfat-e-dam thi abas aarzu rihai ki dil bhi pahlu mein ho to yan kis se rakhiye ummid dilrubai ki shahr o dariya se bagh o sahra se bu nahin aati aashnai ki na mila koi ghaarat-e-iman rah gai sharm parsai ki bakht-e-ham-dastani-e-shaida tu ne aakhir ko na-rasai ki sohbat-e-gah-gahi-e-rashki tu ne bhi hum se bewafai ki maut ki tarah jis se darte the saat aa pahunchi us judai ki zinda phirne ki hai hawas 'haali' intiha hai ye be-hayai ki