gumrah ho gaya rah-e-hamwar dekh kar chalna tha dil ko jada-e-dushwar dekh kar jo sar jhuka tha sang-e-dar-e-yar dekh kar uncha hua hai phir rasan-o-dar dekh kar shoridgi-e-sar ko na tha koi mashghala dil khush hua hai rah mein diwar dekh kar kya main kahun ki hath se kyun jam gir pada sarshaar ho gaya tujhe sarshaar dekh kar garche ye daur lafzon ki bazigari ka hai karta hai waqt faisla kirdar dekh kar tufan-e-tirgi tha bahut dahshat-afrin himmat badhi hai sham-e-rukh-e-yar dekh kar dil aur dimagh donon mere ham-safar hain aaj hairat na kijiye meri raftar dekh kar 'shibli' samand-e-shauq ko mahmez ek lagi 'ghaalib' ki is zamin ko gul-kar dekh kar