dhund chhatne ke intizar mein hun main abhi apne hi ghubar mein hun jis ko aaseb kah rahe hain log main usi ishq ke hisar mein hun shor aangan mein hai to hota rahe main to dastak ke intizar mein hun marka khatm kyon nahin hota kab se masruf aar-par mein hun zindagi aur chiz hoti hai main to sanson ke karobar mein hun ye meri pyas ka ilaqa hai yani aankhon ke aabshaar mein hun kal tha main sahib-e-yad-e-baiza ab andheron ke ikhtiyar mein hun aakhiri aadmi hun main 'tariq' aur main aakhiri qatar mein hun