dhundhiye is shahr mein ab kis ko hasil kaun hai aur zara batlaiye kis ke muqabil kaun hai main ne mizanon se puchha taq par rakh kar zamir apni in barbaadiyon mein aur shamil kaun hai khud hawale kar ke jis ne kashtiyan tufan mein baadban se ja ke puchha mera sahil kaun hai ye nasim-o-khaar-o-khas kis ne jalaya aag mein aabshaaron ne ye socha itna jahil kaun hai barf ka sina pighal kar ek dariya ho gaya kaun thahra tha yahan par itna mail kaun hai