wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega bas ek chhalawe sa koi dam ko milega anjaani zaminon se mujhe dega sada wo nairang-e-nawa-shauq ki sargam ko milega main ajnabi ho jaunga khud apni nazar mein jis dam wo mere dida-e-pur-nam ko milega jo naqsh ki arzhang-e-zamana mein nahin hai us dil ke dhadakte hue albam ko milega rut wasl ki aaegi chali jaegi lekin kuchh rang to yun hijr ke mausam ko milega ye dil ki hai thukraya hua sare jahan ka ghar ek yahi hai jo tere gham ko milega patthar hai to thokar mein rahe pa-e-talab ki dil hai to usi turra-e-pur-kham ko milega gar shisha-e-mai hai to ho auron ko mubarak hai jam-e-jahan-bin to faqat jam ko milega lahraate rahenge chamanistan mein sharare khar o khas o khashak hi aalam ko milega malum hai 'urfi' jo hai qismat mein hamari sahra hi koi girya-e-shabnam ko milega