dhundhta hun roz-o-shab kaun se jahan mein hai ek makan ki raushan sa basti-e-guman mein hai sust-rau musafir ki qismaton pe kya rona tez chalne wala bhi dasht-e-be-aman mein hai khush bahut na ho sun kar sahilon ka aawaza ek fasil pani ki aur darmiyan mein hai lautne nahin deta ye tilism raston ka jaanta hun main warna sukh bahut makan mein hai raaz kuchh nahin khulta is ajab nagar ka yan sud mein na tha din bhi raat bhi ziyan mein hai dekhta nahin hai kya sat aasman wala kaun dhup ke andar kaun saeban mein hai