har qadam hadse har nafs talkhiyan zindagi barq tufan khizan aandhiyan rafta rafta yahi bojh lagne lagin kyun badi ho gain man teri betiyan meri duniya teri zat mein qaid hai mujh ko khairaat mein de na aazadiyan tirgi khamushi bebasi tishnagi hijr ki raat mein khamiyan khamiyan aap hi aandhiyon se ulajhte rahe main to lai thi daman mein purwaiyan main kitabon mein rakhkhun ye fitrat nahin phul sukhe hue be-zaban titliyan ye sahifa nahin meri rudad hai is ka unwan hai talkhiyan talkhiyan yaad kya hai koi mujh se puchhe 'haya' ek ehsas ki chand parchhaiyan