dhundhta hun sar-e-sahra-e-tamanna khud ko main ki samjha tha kabhi ruh-e-tamasha khud ko apne bachchon ki taraf ghaur se jab bhi dekha kitne hi rangon mein bikhra hua paya khud ko aur kuchh log mere sae tale susta len girti diwar hun deta hun sahaara khud ko nur tu mujh se farawan hua mahfil mahfil gham nahin sham-e-sifat main ne jalaya khud ko reg-e-ummid ke shadab sarabon ke tufail main ne dekha hai kabhi surat-e-sahra khud ko meri azmat ka nishan meri tabahi ki dalil main ne haalat ke sanche mein na dhaala khud ko meri takhliq mere kaam na aai 'arif' main ba-andaz-e-khuda pata hun tanha khud ko